mujhe vo sun ke bhi jab ba-khuda nahin bola | मुझे वो सुन के भी जब बा-ख़ुदा नहीं बोला

  - Lalit Pandey

mujhe vo sun ke bhi jab ba-khuda nahin bola
main baitha rah gaya usse khafa nahin bola

ki ishq ho to rafaqat to badh hi jaati hai
so isko jism kii hirs-o-hawaa nahin bola

vo apne ghar kii badi beti thi so maine bhi
bichhadte waqt use bewafa nahin bola

kisi ke zakhm ko marham nahin mila yaaron
so aise zakhm ko fazl-e-khuda nahin bola

kabhi kameen kaha to kabhi kaha muflis
bichhadne ke liye mujhse vo kya nahin bola

मुझे वो सुन के भी जब बा-ख़ुदा नहीं बोला
मैं बैठा रह गया उससे ख़फ़ा नहीं बोला

कि इश्क़ हो तो रफ़ाक़त तो बढ़ ही जाती है
सो इसको जिस्म की हिर्स-ओ-हवा नहीं बोला

वो अपने घर की बड़ी बेटी थी सो मैंने भी
बिछड़ते वक़्त उसे बेवफ़ा नहीं बोला

किसी के ज़ख़्म को मरहम नहीं मिला यारों
सो ऐसे ज़ख़्म को फ़ज़्ल-ए-ख़ुदा नहीं बोला

कभी कमीन कहा तो कभी कहा मुफ़लिस
बिछड़ने के लिए मुझसे वो क्या नहीं बोला

  - Lalit Pandey

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalit Pandey

As you were reading Shayari by Lalit Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Pandey

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari