main bahaar-e-dil-e-shaa'ir hoon to ab saare gulaab | मैं बहार-ए-दिल-ए-शाइ'र हूँ तो अब सारे गुलाब - Maaham Shah

main bahaar-e-dil-e-shaa'ir hoon to ab saare gulaab
khil uthenge meri boo se mere jaane ke baad

mere hone ki nahin qadr kabhi tu ne ki
tu mera naam nahin le mere jaane ke baad

vo jo hanste the mere haal pe kuchh din pehle
vo bhi be-saakhta roye mere jaane ke ba'ad

jo kabhi bhi mere pahluu mein nahin baithe the
vo mere sog mein baithe mere jaane ke baad

muntazir jis ki rahi ek zamaana maaham
vo bhi jab aaye to aaye mere jaane ke baad

मैं बहार-ए-दिल-ए-शाइ'र हूँ तो अब सारे गुलाब
खिल उठेंगे मिरी बू से मिरे जाने के बाद

मिरे होने की नहीं क़द्र कभी तू ने की
तू मिरा नाम नहीं ले मिरे जाने के बाद

वो जो हँसते थे मिरे हाल पे कुछ दिन पहले
वो भी बे-साख़्ता रोए मिरे जाने के बा'द

जो कभी भी मिरे पहलू में नहीं बैठे थे
वो मिरे सोग में बैठे मिरे जाने के बाद

मुंतज़िर जिस की रही एक ज़माना 'माहम'
वो भी जब आए तो आए मिरे जाने के बाद

- Maaham Shah
0 Likes

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaham Shah

As you were reading Shayari by Maaham Shah

Similar Writers

our suggestion based on Maaham Shah

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari