doodmaan-e-dard ki shaadi hain ham | दूदमान-ए-दर्द की शादी हैं हम

  - Maatam Fazl Mohammad

doodmaan-e-dard ki shaadi hain ham
khaandaan-e-gham ki aabaadi hain ham

apni shoomi se hui shaadi gami
shaayad aabaadi ki barbaadi hain ham

apne aab-e-chashm se sarsabz hain
zeb-e-dasht-o-zeenat-e-vaadi hain ham

darmiyaan-e-zindagi-o-marg hain
qaabil-e-said o na sayyaadi hain ham

zakhm-haa-e-hijr mein kya kya sahe
kushtagaan-e-tegh-e-faulaadi hain ham

banda-e-peerem ya-rab az azaab
mureed-e-altaaf-e-aazaadi hain ham

ham nahin kahte muqallid hain tire
tere dar ke kalb-e-qillaadi hain ham

daad kar ai daad-gar ushshaq-kush
tere aage tujh se fariyaadi hain ham

khoon-bahaa maashooq se lete nahin
aashiq-e-insaaf-e-bedaadi hain ham

dukhtar-e-raz ko koi ham se kahe
tere to haqdaar daamaadi hain ham

ham gunahgaar-e-janaab-e-ishq hain
abd-e-ubbadi na aairadi hain ham

ai azizaan tark-e-ishq-e-husn mein
sang par jun naqsh-e-bahzaadi hain ham

la-valad kahte hain ham ko la-valad
sher se az-bas-ki aulaadi hain ham

aqibat khaaki hain khaaki honge ne
aatishi-o-aahi-o-baadi hain ham

fath-baaghi ne nasr-poori hain balki
sindh mein bhi hyderabadi hain ham

kya kahein kya the kahaan se aaye hain
misl-e-mazmoon-e-nau eiraadi hain ham

phir bhi vo eiraad karne saka hai
jis ke awwal baar ijaadi hain ham

mast-e-ahmad se maatam hain shakar
ne sumoodi qaum ne aadi hain ham

दूदमान-ए-दर्द की शादी हैं हम
ख़ानदान-ए-ग़म की आबादी हैं हम

अपनी शूमी से हुई शादी ग़मी
शायद आबादी की बर्बादी हैं हम

अपने आब-ए-चश्म से सरसब्ज़ हैं
ज़ेब-ए-दश्त-ओ-ज़ीनत-ए-वादी हैं हम

दरमियान-ए-ज़िंदगी-ओ-मर्ग हैं
क़ाबिल-ए-सैद ओ न सय्यादी हैं हम

ज़ख़्म-हा-ए-हिज्र में क्या क्या सहे
कुश्तगान-ए-तेग़-ए-फ़ौलादी हैं हम

बंदा-ए-पीरेम या-रब अज़ अज़ाब
मूरिद-ए-अल्ताफ़-ए-आज़ादी हैं हम

हम नहीं कहते मुक़ल्लिद हैं तिरे
तेरे दर के कल्ब-ए-क़िल्लादी हैं हम

दाद कर ऐ दाद-गर उश्शाक़-कुश
तेरे आगे तुझ से फ़रियादी हैं हम

ख़ूँ-बहा माशूक़ से लेते नहीं
आशिक़-ए-इंसाफ़-ए-बेदादी हैं हम

दुख़्तर-ए-रज़ को कोई हम से कहे
तेरे तो हक़दार दामादी हैं हम

हम गुनहगार-ए-जनाब-ए-इश्क़ हैं
अब्द-ए-उब्बादी न आैरादी हैं हम

ऐ अज़ीज़ाँ तर्क-ए-इश्क़-ए-हुस्न में
संग पर जूँ नक़्श-ए-बहज़ादी हैं हम

ला-वलद कहते हैं हम को ला-वलद
शेर से अज़-बस-कि औलादी हैं हम

आक़िबत ख़ाकी हैं ख़ाकी होंगे ने
आतिशी-ओ-आही-ओ-बादी हैं हम

फ़त्ह-बाग़ी ने नसर-पूरी हैं बल्कि
सिंध में भी हैदराबादी हैं हम

क्या कहें क्या थे कहाँ से आए हैं
मिस्ल-ए-मज़मून-ए-नौ ईरादी हैं हम

फिर भी वो ईराद करने सकता है
जिस के अव्वल बार ईजादी हैं हम

मस्त-ए-अहमद से 'मातम' हैं शकर*
ने सुमूदी क़ौम ने आदी हैं हम

  - Maatam Fazl Mohammad

Wedding Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maatam Fazl Mohammad

As you were reading Shayari by Maatam Fazl Mohammad

Similar Writers

our suggestion based on Maatam Fazl Mohammad

Similar Moods

As you were reading Wedding Shayari Shayari