sholon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag | शोलों से मोहब्बत की मिरी जाँ में लगी आग

  - Maatam Fazl Mohammad

sholon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag
phir jaan se bhadak jism ke maidaan mein lagi aag

ye aatish-e-gham hai ki dam-e-sard se apne
sar-chashma-e-khurshid-e-darkhshaan mein lagi aag

us hoor ke kooche mein bhare ham jo dam-e-garm
mardum ne kaha rozaa-e-ridhwaan mein lagi aag

khandaan jo hua yaar hamein dekh ke giryaa
logon ne kaha barq se baaraan mein lagi aag

in rozon mein hai rang jo ashkon ka gulaabi
shaayad ki mere deeda-e-giriyaan mein lagi aag

garmi se nagar ke tire gun aab hua dekh
bulbul ne pukaara ki gulistaan mein lagi aag

naari hain jo pariyaan ye sabab hai ki tumhaare
noor-e-rukh-e-raushan se paristaan mein lagi aag

us aatishiin-roo ko b-lab-e-baam jo dekha
aalam ne kaha gumbad-e-gardaan mein lagi aag

dariya mein vo dhoya tha kabhi dasht-e-hinaai
hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag

ghairoon ki taraf jo nazar-e-mehr se dekha
ghairat se mere seena-e-sozaan mein lagi aag

kyun kohkan-o-qais rahein mujh se na naalaan
naalon se mere koh-o-bayaabaan mein lagi aag

vo sokhta-dil hoon main pas-az-marg jo guzra
marqad se mere yaar ke daamaan mein lagi aag

maatam hai kisi sokhta-dil ka asr-e-aah
be-wajh nahin koocha-e-jaanaan mein lagi aag

शोलों से मोहब्बत की मिरी जाँ में लगी आग
फिर जाँ से भड़क जिस्म के मैदाँ में लगी आग

ये आतिश-ए-ग़म है कि दम-ए-सर्द से अपने
सर-चश्मा-ए-ख़ुर्शीद-ए-दरख़्शाँ में लगी आग

उस हूर के कूचे में भरे हम जो दम-ए-गर्म
मर्दुम ने कहा रौज़ा-ए-रिज़वाँ में लगी आग

ख़ंदाँ जो हुआ यार हमें देख के गिर्यां
लोगों ने कहा बर्क़ से बाराँ में लगी आग

इन रोज़ों में है रंग जो अश्कों का गुलाबी
शायद कि मिरे दीदा-ए-गिर्यां में लगी आग

गर्मी से नगर के तिरे गुन आब हुआ देख
बुलबुल ने पुकारा कि गुलिस्ताँ में लगी आग

नारी हैं जो परियाँ ये सबब है कि तुम्हारे
नूर-ए-रुख़-ए-रौशन से परिस्ताँ में लगी आग

उस आतिशीं-रू को ब-लब-ए-बाम जो देखा
आलम ने कहा गुम्बद-ए-गर्दां में लगी आग

दरिया में वो धोया था कभी दस्त-ए-हिनाई
हसरत से वहीं पंजा-ए-मर्जां में लगी आग

ग़ैरों की तरफ़ जो नज़र-ए-मेहर से देखा
ग़ैरत से मिरे सीना-ए-सोज़ाँ में लगी आग

क्यूँ कोहकन-ओ-क़ैस रहें मुझ से न नालाँ
नालों से मिरे कोह-ओ-बयाबाँ में लगी आग

वो सोख़्ता-दिल हूँ मैं पस-अज़-मर्ग जो गुज़रा
मरक़द से मिरे यार के दामाँ में लगी आग

'मातम' है किसी सोख़्ता-दिल का असर-ए-आह
बे-वज्ह नहीं कूचा-ए-जानाँ में लगी आग

  - Maatam Fazl Mohammad

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maatam Fazl Mohammad

As you were reading Shayari by Maatam Fazl Mohammad

Similar Writers

our suggestion based on Maatam Fazl Mohammad

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari