ila ya shah-e-khooban kijie shaad | इला या शाह-ए-ख़ूबाँ कीजिए शाद

  - Maatam Fazl Mohammad

ila ya shah-e-khooban kijie shaad
hue jaate hain aashiq gham se barbaad

hamein tum yaad ho har lahza lekin
hamaari bhi kabhi to kijie yaad

giraftaar-e-bala baalaaye tu yaar
gham-e-dauraan se hain jun sarv azaad

agar leila hai tu majnoon hain ham
vagar sheerin hai tu ham hain farhaad

wahi eiraad kar saka hai aakhir
kiya hai jis ne awwal ham ko ijaad

kisi shay ko darust-o-chust daayem
na dekha dar-jahaan-e-sust buniyaad

sher hai ashk-e-chashm-o-lakht-e-dil se
uthaya chahiye ham-aab o ham-zaad

gul-e-tar khaar se samjhen batar-tar
jo dekhen andleebaan rote sayyaad

guloo-e-gul to pakde aakhir-kaar
gaye kab raayegaan bulbul ke fariyaad

abas karte ho bahr-e-tark takraar
azeezo hoon main dukht-e-raz ka daamaad

nahin jis roz mii'ad aamad-e-yaar
wahi ham jaante hain roz-e-mi'aad

bahut farzaana the deewane ham ko
banaaye shokh tiflaan-e-paree-zaad

haml mirrikh maashooqon ne mera
kiya hai sar juda az tegh-e-be-daad

hazaaraan shukr mulk-e-sindh mein bhi
mera maskan hai shahr-e-hyderabad

janab haider-e-safdar se maatam
talab auqaat-e-mushkil mein kar imdaad

इला या शाह-ए-ख़ूबाँ कीजिए शाद
हुए जाते हैं आशिक़ ग़म से बरबाद

हमें तुम याद हो हर लहज़ा लेकिन
हमारी भी कभी तो कीजिए याद

गिरफ़्तार-ए-बला बालाए तू यार
ग़म-ए-दौराँ से हैं जूँ सर्व आज़ाद

अगर लैला है तू मजनूँ हैं हम
वगर शीरीं है तू हम हैं फ़रहाद

वही ईराद कर सकता है आख़िर
किया है जिस ने अव्वल हम को ईजाद

किसी शय को दरुस्त-ओ-चुस्त दाएम
न देखा दर-जहान-ए-सुस्त बुनियाद

शेर है अश्क-ए-चश्म-ओ-लख़्त-ए-दिल से
उठाया चाहिए हम-आब ओ हम-ज़ाद

गुल-ए-तर ख़ार से समझें बतर-तर
जो देखें अंदलीबाँ रोते सय्याद

गुलू-ए-गुल तो पकड़े आख़िर-कार
गए कब राएगाँ बुलबुल के फ़रियाद

अबस करते हो बहर-ए-तर्क तकरार
अज़ीज़ो हूँ मैं दुख़्त-ए-रज़ का दामाद

नहीं जिस रोज़ मीआ'द आमद-ए-यार
वही हम जानते हैं रोज़-ए-मीआ'द

बहुत फ़रज़ाना थे दीवाने हम को
बनाए शोख़ तिफ़्लान-ए-परी-ज़ाद

हमल मिर्रीख़ माशूक़ों ने मेरा
किया है सर जुदा अज़ तेग़-ए-बे-दाद

हज़ाराँ शुक्र मुल्क-ए-सिंध में भी
मिरा मस्कन है शहर-ए-हैदराबाद

जनाब हैदर-ए-सफ़दर से 'मातम'
तलब औक़ात-ए-मुश्किल में कर इमदाद

  - Maatam Fazl Mohammad

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maatam Fazl Mohammad

As you were reading Shayari by Maatam Fazl Mohammad

Similar Writers

our suggestion based on Maatam Fazl Mohammad

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari