bas tamannaa hai ishq-e-maula mein | बस तमन्ना है इश्क़-ए-मौला में

  - Maatam Fazl Mohammad

bas tamannaa hai ishq-e-maula mein
ki marooun main yahi tamannaa mein

ishq-e-khoobaan nahin hai aisi shay
baandh kar rakhiye jis ko puriya mein

rukh-e-afshaan mein tere aalam-e-noor
nam qamar mein hai nam surayyaa mein

yad-e-baiza ka hai khayal aata
dekh mehndi tire kaf-e-paa mein

tere beemaar-e-hijr ai mehboob
na to moti mein hain na ahya mein

vahdahoo-la-shareek-la hai tu
tujh sa duniya mein hai na uqba mein

tujh ko kyun kar kahein ham harjaai
noor to jalva-gar hai har ja mein

kya kahoon din ko kis qadar roya
raat dilbar ko dekh rooya mein

ishq lagte hi ho gaya maaloom
haal-e-majnoon ishq-e-laila mein

marz-e-ishq husn-e-khubaan ka
marg darmaan hai naam hukmaa mein

haasil-ul-amr ham hue badnaam
ishq husn-e-butaan-e-zebaa mein

rukh-e-yoosuf se rukh mushaabah hai
lab hain milte lab-e-masiha mein

aab-e-baraan se gir na paaye madad
khaak pad jaaye chashm-e-dariya mein

ye dua haq se hai mera maatam
dafn ho karbala-mu'allaa mein

बस तमन्ना है इश्क़-ए-मौला में
कि मरूँ मैं यही तमन्ना में

इश्क़-ए-ख़ूबाँ नहीं है ऐसी शय
बाँध कर रखिए जिस को पुड़िया में

रुख़-ए-अफ़्शाँ में तेरे आलम-ए-नूर
नम क़मर में है नम सुरय्या में

यद-ए-बैज़ा का है ख़याल आता
देख मेहंदी तिरे कफ़-ए-पा में

तेरे बीमार-ए-हिज्र ऐ महबूब
न तो मोती में हैं न अहया में

वहदहू-ला-शरीक-ला है तू
तुझ सा दुनिया में है न उक़्बा में

तुझ को क्यूँ कर कहें हम हरजाई
नूर तो जल्वा-गर है हर जा में

क्या कहूँ दिन को किस क़दर रोया
रात दिलबर को देख रूया में

इश्क़ लगते ही हो गया मालूम
हाल-ए-मज्नूँ इश्क़-ए-लैला में

मरज़-ए-इश्क़ हुस्न-ए-ख़ूबाँ का
मर्ग दरमाँ है नाम हुकमा में

हासिल-उल-अम्र हम हुए बदनाम
इश्क़ हुस्न-ए-बुतान-ए-ज़ेबा में

रुख़-ए-यूसुफ़ से रुख़ मुशाबह है
लब हैं मिलते लब-ए-मसीहा में

आब-ए-बाराँ से गिर न पाए मदद
ख़ाक पड़ जाए चश्म-ए-दरिया में

ये दुआ हक़ से है मिरा 'मातम'
दफ़्न हो कर्बला-मुअ'ल्ला में

  - Maatam Fazl Mohammad

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maatam Fazl Mohammad

As you were reading Shayari by Maatam Fazl Mohammad

Similar Writers

our suggestion based on Maatam Fazl Mohammad

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari