koi ye laakh kahe mere banaane se mila | कोई ये लाख कहे मेरे बनाने से मिला

  - Madan Mohan Danish

koi ye laakh kahe mere banaane se mila
har naya rang zamaane ko purane se mila

fikr har baar khamoshi se mili hai mujh ko
aur zamaana ye mujhe shor machaane se mila

us ki taqdeer andheron ne likhi thi shaayad
vo ujaala jo charaagon ko bujhaane se mila

poochte kya ho mila kaise ye jungle ko tilism
chaanv mein dhoop ki rangat ko milaane se mila

aur logon se mulaqaat kahaan mumkin thi
vo to khud se bhi mila hai to bahaane se mila

meri tashkeel to kuchh aur hui thi daanish
ye naya naqsh mujhe khud ko mitaane se mila

कोई ये लाख कहे मेरे बनाने से मिला
हर नया रंग ज़माने को पुराने से मिला

फ़िक्र हर बार ख़मोशी से मिली है मुझ को
और ज़माना ये मुझे शोर मचाने से मिला

उस की तक़दीर अंधेरों ने लिखी थी शायद
वो उजाला जो चराग़ों को बुझाने से मिला

पूछते क्या हो मिला कैसे ये जंगल को तिलिस्म
छाँव में धूप की रंगत को मिलाने से मिला

और लोगों से मुलाक़ात कहाँ मुमकिन थी
वो तो ख़ुद से भी मिला है तो बहाने से मिला

मेरी तश्कील तो कुछ और हुई थी 'दानिश'
ये नया नक़्श मुझे ख़ुद को मिटाने से मिला

  - Madan Mohan Danish

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madan Mohan Danish

As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Madan Mohan Danish

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari