ye maana us taraf rasta na jaaye
magar phir bhi mujhe roka na jaaye
badal sakti hai rukh tasveer apna
kuchh itne ghaur se dekha na jaaye
uljhane ke liye sau uljhane hain
bas apne aap se uljha na jaaye
iraada waapsi ka ho agar to
bahut gehraai mein utara na jaaye
hamaari arz bas itni hai daanish
udaasi ka sabab poocha na jaaye
ये माना उस तरफ़ रस्ता न जाए
मगर फिर भी मुझे रोका न जाए
बदल सकती है रुख़ तस्वीर अपना
कुछ इतने ग़ौर से देखा न जाए
उलझने के लिए सौ उलझनें हैं
बस अपने आप से उलझा न जाए
इरादा वापसी का हो अगर तो
बहुत गहराई में उतरा न जाए
हमारी अर्ज़ बस इतनी है 'दानिश'
उदासी का सबब पूछा न जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Raasta Shayari Shayari