main tumhaari rooh ki angadaaiyon se aashna hoon
main tumhaari dhadkano ke zer-o-bam pahchaanta hoon
main tumhaari ankhadiyon mein narm lahren jaagti si dekhta hoon
jaise jaadu jaagta ho
tum amar ho to lachakti tehniyon ki maamta ho
tum jawaani ho tabassum ho mohabbat ki lata ho
main tumhein pahchaanta hoon tum meri pehli khata ho
lahlahaati jhoomti fulwaariyon ki taazgi ho be-adaai ki ada ho
tez mandlaati abaabeelon ke nanhe baazuon ka hausla ho
phool ho aur phool ke anjaam se na-aashnaa ho
daaliyon par phoolti ho jhoolti ho dekhti ho bhoolti ho
har naye faanoos pe girti hui parwaanagi ho
aur khud bhi raushni ho
zindagi ho zindagi ke gird chakkar kaatti ho
main tumhein pahchaanta hoon tum mohabbat chahti ho
khud ko dekho aur bhari duniya ko dekho aur socho
aur socho tum kahaan ho
मैं तुम्हारी रूह की अंगड़ाइयों से आश्ना हूँ
मैं तुम्हारी धड़कनों के ज़ेर-ओ-बम पहचानता हूँ
मैं तुम्हारी अँखड़ियों में नर्म लहरें जागती सी देखता हूँ
जैसे जादू जागता हो
तुम अमर हो तो लचकती टहनियों की मामता हो
तुम जवानी हो तबस्सुम हो मोहब्बत की लता हो
मैं तुम्हें पहचानता हूँ तुम मिरी पहली ख़ता हो
लहलहाती झूमती फुलवारियों की ताज़गी हो बे-अदाई की अदा हो
तेज़ मंडलाती अबाबीलों के नन्हे बाज़ुओं का हौसला हो
फूल हो और फूल के अंजाम से ना-आश्ना हो
डालियों पर फूलती हो झूलती हो देखती हो भूलती हो
हर नए फ़ानूस पे गिरती हुई परवानगी हो
और ख़ुद भी रौशनी हो
ज़िंदगी हो ज़िंदगी के गिर्द चक्कर काटती हो
मैं तुम्हें पहचानता हूँ तुम मोहब्बत चाहती हो
ख़ुद को देखो और भरी दुनिया को देखो और सोचो
और सोचो तुम कहाँ हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khizan
our suggestion based on Mahboob Khizan
As you were reading Ummeed Shayari Shayari