main sochta tha tu nibhaaega mujhe
kya hi pata tha chhod jaayega mujhe
toota hua hai khud yahan vo shakhs bhi
ab khud banega ya banaayega mujhe
allah ke hi haath mein hai ye hasi
main tab hasoonga jab hasaayega mujhe
ai beraham mujh par taras kha tu zara
ai beraham kitna rulaayega mujhe
usne kaha hai call karna raat mein
maaloom hai ghazlein sunaayega mujhe
mehboob mera mar gaya afsos hai
uf kaun ab aakhir sataayega mujhe
jisko hansaane mein lagi hoon main abhi
ik din wahi ladka rulaayega mujhe
मैं सोचता था तू निभाएगा मुझे
क्या ही पता था छोड़ जाएगा मुझे
टूटा हुआ है ख़ुद यहाँ वो शख़्स भी
अब ख़ुद बनेगा या बनाएगा मुझे
अल्लाह के ही हाथ में है ये हँसी
मैं तब हसूँगा जब हँसाएगा मुझे
ऐ बेरहम मुझ पर तरस खा तू ज़रा
ऐ बेरहम कितना रुलाएगा मुझे
उसने कहा है कॉल करना रात में
मालूम है ग़ज़लें सुनाएगा मुझे
महबूब मेरा मर गया अफ़सोस है
उफ़ कौन अब आख़िर सताएगा मुझे
जिसको हँसाने में लगी हूँ मैं अभी
इक दिन वही लड़का रुलाएगा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Altamash
our suggestion based on Kabir Altamash
As you were reading Religion Shayari Shayari