aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh | आह-ए-जाँ-सोज़ की महरूमी-ए-तासीर न देख - Majrooh Sultanpuri

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh
ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh

haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva
haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh

ye zara door pe manzil ye ujaala ye sukoon
khwaab ko dekh abhi khwaab ki taabeer na dekh

dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh

kuch bhi hoon phir bhi dukhe dil ki sada hoon naadaan
meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh

wahi majrooh wahi shaair-e-aawara-mizaaj
koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

आह-ए-जाँ-सोज़ की महरूमी-ए-तासीर न देख
हो ही जाएगी कोई जीने की तदबीर न देख

हादसे और भी गुज़रे तिरी उल्फ़त के सिवा
हाँ मुझे देख मुझे अब मेरी तस्वीर न देख

ये ज़रा दूर पे मंज़िल ये उजाला ये सुकूँ
ख़्वाब को देख अभी ख़्वाब की ताबीर न देख

देख ज़िंदाँ से परे रंग-ए-चमन जोश-ए-बहार
रक़्स करना है तो फिर पाँव की ज़ंजीर न देख

कुछ भी हूँ फिर भी दुखे दिल की सदा हूँ नादाँ
मेरी बातों को समझ तल्ख़ी-ए-तक़रीर न देख

वही 'मजरूह' वही शाइर-ए-आवारा-मिज़ाज
कोई उट्ठा है तिरी बज़्म से दिल-गीर न देख

- Majrooh Sultanpuri
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Majrooh Sultanpuri

As you were reading Shayari by Majrooh Sultanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Majrooh Sultanpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari