sehar se raat ki sargoshiyaan bahaar ki baat | सहर से रात की सरगोशियाँ बहार की बात - Makhdoom Mohiuddin

sehar se raat ki sargoshiyaan bahaar ki baat
jahaan mein aam hui chashm-e-intizaar ki baat

dilon ki tishnagi jitni dilon ka gham jitna
usi qadar hai zamaane mein husn-e-yaar ki baat

jahaan bhi baithe hain jis ja bhi raat may pee hai
unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyaar ki baat

chaman ki aankh bhar aayi kali ka dil dhadka
labon pe aayi hai jab bhi kisi qaraar ki baat

ye zard zard ujaale ye raat raat ka dard
yahi to rah gai ab jaan-e-be-qaraar ki baat

tamaam umr chali hai tamaam umr chale
ilaahi khatm na ho yaar-e-gham-gusaar ki baat

सहर से रात की सरगोशियाँ बहार की बात
जहाँ में आम हुई चश्म-ए-इन्तिज़ार की बात

दिलों की तिश्नगी जितनी दिलों का ग़म जितना
उसी क़दर है ज़माने में हुस्न-ए-यार की बात

जहाँ भी बैठे हैं जिस जा भी रात मय पी है
उन्ही की आँखों के क़िस्से उन्ही के प्यार की बात

चमन की आँख भर आई कली का दिल धड़का
लबों पे आई है जब भी किसी क़रार की बात

ये ज़र्द ज़र्द उजाले ये रात रात का दर्द
यही तो रह गई अब जान-ए-बे-क़रार की बात

तमाम उम्र चली है तमाम उम्र चले
इलाही ख़त्म न हो यार-ए-ग़म-गुसार की बात

- Makhdoom Mohiuddin
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Makhdoom Mohiuddin

As you were reading Shayari by Makhdoom Mohiuddin

Similar Writers

our suggestion based on Makhdoom Mohiuddin

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari