humsafar ka sawaal koi hai | हमसफ़र का सवाल कोई है

  - Manohar Shimpi

humsafar ka sawaal koi hai
guftugoo mein kamaal koi hai

tere jaisa hunar kise aata
soch mein bhi khyaal koi hai

dar-b-dar khoob ghoomte rahte
hai na tujh sa jamaal koi hai

zikr kaise karein kisi se bhi
mera tujh se sawaal koi hai

aasmaan bark se hua raushan
dekhne mein kamaal koi hai

ho mile ittifaq thode hai
ab na mujh ko malaal koi hai

aks-e-khushboo kabhi kiya zaahir
haan manohar jalaal koi hai

हमसफ़र का सवाल कोई है
गुफ़्तुगू में कमाल कोई है

तेरे जैसा हुनर किसे आता
सोच में भी ख़याल कोई है

दर-ब-दर ख़ूब घूमते रहते
है न तुझ सा जमाल कोई है

ज़िक्र कैसे करें किसी से भी
मेरा तुझ से सवाल कोई है

आसमाँ बर्क से हुआ रौशन
देखने में कमाल कोई है

हो मिले इत्तिफ़ाक़ थोड़े है
अब न मुझ को मलाल कोई है

अक्स-ए-ख़ुशबू कभी किया ज़ाहिर
हाँ मनोहर जलाल कोई है

  - Manohar Shimpi

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari