ishq ke darmiyaan mein kya hai
ho juda phir zabaan mein kya hai
saath mein hum-safar na ho to phir
kam-nazar pe gumaan mein kya hai
farq jab sach galat lage hai to
aise vaise amaan mein kya hai
koi veeraan sa rahe akshar
phir dilon ke makaan mein kya hai
sirf tahzeeb se pata chalta
phir rakha khaandaan mein kya hai
jab iraade buland hon to phir
choone ko aasmaan mein kya hai
teer koi chale nazar se to
phir manohar kamaan mein kya hai
इश्क़ के दरमियान में क्या है
हो जुदा फिर ज़बान में क्या है
साथ में हम-सफ़र न हो तो फिर
कम-नज़र पे गुमान में क्या है
फ़र्क़ जब सच ग़लत लगे है तो
ऐसे वैसे अमान में क्या है
कोई वीरान सा रहे अक्सर
फिर दिलों के मकान में क्या है
सिर्फ़ तहज़ीब से पता चलता
फिर रखा ख़ानदान में क्या है
जब इरादे बुलंद हों तो फिर
छूने को आसमान में क्या है
तीर कोई चले नज़र से तो
फिर "मनोहर" कमान में क्या है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Partition Shayari Shayari