is manch pe aana kahaan aasaan tha | इस मंच पे आना कहाँ आसान था

  - Manohar Shimpi

is manch pe aana kahaan aasaan tha
haasil hua is-waqt vo armaan tha

milna yahan sabse faqat sapna na tha
milke hua poora wahi sammaan tha

padhte rahe likhte rahe hain ham sabhi
parhke ghazal likhna kahaan aasaan tha

jalte kabhi bujhte diye vo gaah ke
dekhe jidhar se ek raushandaan tha

shohrat kabhi aise hamein milti nahin
dil se use paana wahi armaan tha

raah-e-safar mein waqt kyun itna laga
ye soch ke main bhi bahut hairaan tha

haathon laga mere wahi anmol tha
koi suhan-var ka wahi deewaan tha

इस मंच पे आना कहाँ आसान था
हासिल हुआ इस-वक़्त वो अरमान था

मिलना यहाँ सबसे फ़क़त सपना न था
मिलके हुआ पूरा वही सम्मान था

पढ़ते रहे लिखते रहे हैं हम सभी
पढ़के ग़ज़ल लिखना कहाँ आसान था

जलते कभी बुझते दिए वो गाह के
देखे जिधर से एक रौशनदान था

शोहरत कभी ऐसे हमें मिलती नहीं
दिल से उसे पाना वही अरमान था

राह-ए-सफ़र में वक़्त क्यों इतना लगा
ये सोच के मैं भी बहुत हैरान था

हाथों लगा मेरे वही अनमोल था
कोई सुख़न-वर का वही दीवान था

  - Manohar Shimpi

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari