shakl zaahir kya sadaqat hi karegi
sach bayaan us kii sharaafat hi karegi
husn kii malika ghazal bhi khoob likhti
shaayra hai to nizaamat hi karegi
koii dushman sirf dushman hi rahega
fauj phir un se hifaazat hi karegi
jang ho ya ishq ho yaaron kahin bhi
ek mahbooba muhabbat hi karegi
zikr jab bhi ho gunaahon ka manohar
faisla to phir adaalat hi karegi
शक्ल ज़ाहिर क्या सदाक़त ही करेगी
सच बयाँ उस की शराफ़त ही करेगी
हुस्न की मलिका ग़ज़ल भी ख़ूब लिखती
शायरा है तो निज़ामत ही करेगी
कोई दुश्मन सिर्फ़ दुश्मन ही रहेगा
फ़ौज फिर उन से हिफ़ाज़त ही करेगी
जंग हो या इश्क़ हो यारों कहीं भी
एक महबूबा मुहब्बत ही करेगी
ज़िक्र जब भी हो गुनाहों का "मनोहर"
फ़ैसला तो फिर अदालत ही करेगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Dushman Shayari Shayari