rokiye unko na jaane deejie | रोकिए उनको ना जाने दीजिए

  - maqbul alam

rokiye unko na jaane deejie
pyaar se ab muskuraane deejie

ishq ko gehraai gar dena hai to
roothie aur phir manaane deejie

rakh diye hai baam pe saare diye
zor aandhi ko lagaane deejie

aap kyun jhat se gale lag jaate hai
pehle hamko aazmaane deejie

chaand mein hoga izaf ae raushni
unko parda to uthaane deejie

रोकिए उनको ना जाने दीजिए
प्यार से अब मुस्कुराने दीजिए

इश्क़ को गहराई गर देना है तो
रूठिए और फिर मनाने दीजिए

रख दिए है बाम पे सारे दिए
ज़ोर आंधी को लगाने दीजिए

आप क्यूं झट से गले लग जाते है
पहले हमको आज़माने दीजिए

चांद में होगा इज़ाफ़ ए रौशनी
उनको पर्दा तो उठाने दीजिए

  - maqbul alam

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by maqbul alam

As you were reading Shayari by maqbul alam

Similar Writers

our suggestion based on maqbul alam

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari