agar ye dariya samandar mein mil gaya socho
gurur aane laga meetha dil gaya socho
gale lagaate hi paagal khushi se ho jaata
mahaj hasi se hi mere jo khil gaya socho
agar main cheekhta to vo wahin pe mar jaata
jo aaj meri in ashkon se hil gaya socho
ye duniya muft mein degi bila-zaroorat bhi
puraana zakham jo seene ka sil gaya socho
अगर ये दरिया समंदर में मिल गया सोचो
गुरुर आने लगा मीठा दिल गया सोचो
गले लगाते ही पागल खुशी से हो जाता
महज़ हँसी से ही मेरे जो खिल गया सोचो
अगर मैं चींखता तो वो वहीं पे मर जाता
जो आज मेरी इन अश्कों से हिल गया सोचो
ये दुनिया मुफ़्त में देगी बिला-ज़रूरत भी
पुराना ज़ख़्म जो सीने का सिल गया सोचो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by maqbul alam
our suggestion based on maqbul alam
As you were reading Nature Shayari Shayari