ab janaaze pe mere tumko na aana hoga | अब जनाज़े पे मेरे तुमको ना आना होगा - maqbul alam

ab janaaze pe mere tumko na aana hoga
aakhri vaada bichhadne ka nibhaana hoga

ik wahi shakhs zaroori hai jeene ka magar
hai bhulaana bhi zaroori to bhulaana hoga

aib ko apne chhupaakar jo bahot tanate hai
aaina unke zameeron ko dikhaana hoga

jaanta hoon ke ghazal zakhmon ko kar denge haraa
unki khushiyon ke liye phir bhi sunaana hoga

ab tapkata hai mere kapdon pe wafaon ka lahu
aalmaari se tere khat ko hatana hoga

ab kahi galati se tera naam na lab pe aaye
ik zara honton pe paiband lagana hoga

dil ke haalaat samajhta hai mere dardon ka
ashk aankhon se magar phir bhi bahaana hoga

aapke haal pe aalam ye bahut rote hai
ab munderon se kabootar ko udhaana hoga

अब जनाज़े पे मेरे तुमको ना आना होगा
आखरी वादा बिछड़ने का निभाना होगा

इक वही शख्स ज़रूरी है जीने का मगर
है भुलाना भी ज़रूरी तो भुलाना होगा

ऐब को अपने छुपाकर जो बहोत तनते है
आईना उनके ज़मीरों को दिखाना होगा

जानता हूं के ग़ज़ल ज़ख्मों को कर देंगे हरा
उनकी खुशियों के लिए फिर भी सुनाना होगा

अब टपकता है मेरे कपड़ों पे वफाओं का लहू
आलमारी से तेरे ख़त को हटाना होगा

अब कहीं गलती से तेरा नाम न लब पे आए
इक ज़रा होंटों पे पैबंद लगाना होगा

दिल के हालात समझता है मेरे दर्दों का
अश्क आंखों से मगर फिर भी बहाना होगा

आपके हाल पे "आलम" ये बहुत रोते है
अब मुंडेरों से कबूतर को उड़ाना होगा

- maqbul alam
3 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by maqbul alam

As you were reading Shayari by maqbul alam

Similar Writers

our suggestion based on maqbul alam

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari