vo shakhs mere dil se kab ka chala gaya
jaise ke jism se ye saaya chala gaya
patton ki sarsaraahat se aisa laga mujhe
vo aaya mere paas mein baitha chala gaya
dariya ki machliyaan bhi mujhe chaahne lagi
ik martaba vo saath mere kya chala gaya
ab paas se bhi vo nazar aata nahin mujhe
vo door nazaron se kuchh aisa chala gaya
hans hans ke jispe vaar di khushiyaan jahaan ki
phir uske baad khud pe main hansta chala gaya
ye socha haath uska main thaam loon magar
kambakht mere haath se mauka chala gaya
vo kar raha tha hans ke vaad ae wafa ki baat
har shakhs mehfilon se uthata chala gaya
maa ne duaayein dekar aalam kiya vida
har mushkilon se khoob main bachta chala gaya
वो शख़्स मेरे दिल से कब का चला गया
जैसे के जिस्म से ये साया चला गया
पत्तों की सरसराहट से ऐसा लगा मुझे
वो आया मेरे पास में बैठा चला गया
दरिया की मछलियां भी मुझे चाहने लगी
इक मर्तबा वो साथ मेरे क्या चला गया
अब पास से भी वो नज़र आता नहीं मुझे
वो दूर नज़रों से कुछ ऐसा चला गया
हँस हँस के जिसपे वार दी खुशियां जहान की
फिर उसके बाद ख़ुद पे मैं हँसता चला गया
ये सोचा हाथ उसका मैं थाम लूं मगर
कमबख्त मेरे हाथ से मौका चला गया
वो कर रहा था हँस के वाद ए वफ़ा की बात
हर शख़्स महफिलों से उठता चला गया
माँ ने दुआएं देकर "आलम" किया विदा
हर मुश्किलों से ख़ूब मैं बचता चला गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by maqbul alam
our suggestion based on maqbul alam
As you were reading Nadii Shayari Shayari