hans diye jab qahqahon ke saamne aate gaye | हँस दिए जब क़हक़हों के सामने आते गए

  - Mayank Tiwari

hans diye jab qahqahon ke saamne aate gaye
ro pade jab siskiyon ke saamne aate gaye

kis tarah maa-baap ke haathon ke chhaalon ke nishaan
har qadam par laadlon ke saamne aate gaye

zakham keval aashiqi ka hai nahin rozi bhi hai
zakham saare shaayaron ke saamne aate gaye

baansuri ki taan nikli hai kai cheekh'on ke baad
kasht jab jab gwaaliyon ke saamne aate gaye

mere hothon ka hunar unki zabeen par chha gaya
haath mere kaakulon ke saamne aate gaye

un jhuki nazaron ki dikkat tab samajh aayi ki jab
baap bankar betiyon ke saamne aate gaye

offices mein baithe-baithe jhurriyaan padti rahi
phir tajurbe hasraton ke saamne aate gaye

qaid rakha ja chuka tha itne barson tak hamein
pair khud hi bediyo ke saamne aate gaye

हँस दिए जब क़हक़हों के सामने आते गए
रो पड़े जब सिसकियों के सामने आते गए

किस तरह माँ-बाप के हाथों के छालों के निशाँ
हर क़दम पर लाड़लों के सामने आते गए

ज़ख़्म केवल आशिक़ी का है नहीं, रोज़ी भी है
ज़ख़्म सारे, शायरों के सामने आते गए

बाँसुरी की तान निकली है कई चीख़ों के बाद
कष्ट जब जब ग्वालियों के सामने आते गए

मेरे होठों का हुनर उनकी ज़बीं पर छा गया
हाथ मेरे काकुलों के सामने आते गए

उन झुकी नज़रों की दिक्कत तब समझ आई कि जब
बाप बनकर बेटियों के सामने आते गए

ऑफ़िसों में बैठे-बैठे झुर्रियाँ पड़ती रही
फिर तजुर्बे हसरतों के सामने आते गए

क़ैद रक्खा जा चुका था इतने बरसों तक हमें
पैर ख़ुद ही बेड़ियों के सामने आते गए

  - Mayank Tiwari

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mayank Tiwari

As you were reading Shayari by Mayank Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Mayank Tiwari

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari