pehle aankhen kholta hoon aaina deta hoon main
phir sabhi ko sochne ka dayra deta hoon main
zindagi ko dekhne ka ek fan hai shayari
roz is fan ko naya ik zaviya deta hoon main
jhooth kehne ka hunar aaya nahin so har dafa
haal pooche jab koi to muskuraa deta hoon main
haath failaakar koi jab saamne aata hai to
kuchh nahin karta hoon keval mashwara deta hoon main
waqt zaaya kyun karoon main ye daleelen kyun sunoon
yun karo baitho ki seedhe faisla deta hoon main
पहले आँखें खोलता हूँ आइना देता हूँ मैं
फिर सभी को सोचने का दायरा देता हूँ मैं
ज़िन्दगी को देखने का एक फ़न है शायरी
रोज़ इस फ़न को नया इक ज़ाविया देता हूँ मैं
झूठ कहने का हुनर आया नहीं सो हर दफ़ा
हाल पूछे जब कोई तो मुस्कुरा देता हूँ मैं
हाथ फैलाकर कोई जब सामने आता है तो
कुछ नहीं करता हूँ केवल मशवरा देता हूँ मैं
वक़्त ज़ाया क्यों करूँ मैं ये दलीलें क्यों सुनूँ
यूँ करो बैठो कि सीधे फ़ैसला देता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mayank Tiwari
our suggestion based on Mayank Tiwari
As you were reading Irada Shayari Shayari