kahaani ka har ik kirdaar khud mein hi kahaani hai | कहानी का हर इक किरदार ख़ुद में ही कहानी है - Mayank Tiwari

kahaani ka har ik kirdaar khud mein hi kahaani hai
yahan har shakhs murda hai yahan har shaks faani hai

muhabbat ko kabhi zariya samjhte the tabaahi ka
magar ye baat hamko ek ladki se chhupani hai

jahaan maa-baap ke samaan sab fenke gaye the kal
hamein us gaav ke har shaks ki duniya hilaani hai

kiraye ka vo ghar maine khareeda hai main kya karta
siva mere meri maa ki wahi antim nishaani hai

shaheedon ko jahaan par dafn kar rakha hai logon ne
udhar se aa rahi hai jo hawa kitni suhaani hai

khuda ko poojne mein ham khuda ko bhool baithe hain
hamein is ghar ke har kone se har moorat hataani hai

yaqeenan baat sacchi hai ki shayar jhooth kahte hain
isee ik rasm ki garima yahan hamko nibhaani hai

कहानी का हर इक किरदार ख़ुद में ही कहानी है
यहाँ हर शख़्स मुर्दा है यहाँ हर शक्स फ़ानी है

मुहब्बत को कभी ज़रिया समझते थे तबाही का
मगर ये बात हमको एक लड़की से छुपानी है

जहाँ माँ-बाप के सामान सब फेंके गए थे कल
हमें उस गाँव के हर शक्स की दुनिया हिलानी है

किराए का वो घर मैनें ख़रीदा है मैं क्या करता
सिवा मेरे मेरी माँ की वही अंतिम निशानी है

शहीदों को जहाँ पर दफ़्न कर रक्खा है लोगों ने
उधर से आ रही है जो हवा कितनी सुहानी है

ख़ुदा को पूजने में हम ख़ुदा को भूल बैठे हैं
हमें इस घर के हर कोने से हर मूरत हटानी है

यक़ीनन बात सच्ची है कि शायर झूठ कहते हैं
इसी इक रस्म की गरिमा यहाँ हमको निभानी है

- Mayank Tiwari
1 Like

Aurat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mayank Tiwari

As you were reading Shayari by Mayank Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Mayank Tiwari

Similar Moods

As you were reading Aurat Shayari Shayari