taaleem purkhon ki bhi zabaani mein dekhiye
ya'ni kisi kitaab puraani mein dekhiye
sansaar ko samajh sake sabki nigaah se
kirdaar is tarah ka kahaani mein dekhiye
hamse ne poochiye ki ravaan kyun hain ishq mein
me'yaar raabte ka divaani mein dekhiye
kuchh khwaab poore hote hi hasrat bhi mit gai
kuchh khwaab rah gaye to nishaani mein dekhiye
kashti hi bas nahin meri mehroomi ki wajah
khaami kabhi kabhi to rawaani mein dekhiye
apna maqaam hai yahaan har ek se juda
sheeshe ko chhod deejie paani mein dekhiye
ye chashm-e-aab-daar nahi-qabil-e-yaqeen
shabdon ke e'tibaar maani mein dekhiye
तालीम पुरखों की भी ज़बानी में देखिए
या'नी किसी किताब पुरानी में देखिए
संसार को समझ सके सबकी निगाह से
किरदार इस तरह का कहानी में देखिए
हमसे ने पूछिए की रवाँ क्यूं हैं इश्क में
मे'यार राब्ते का दिवानी में देखिए
कुछ ख़्वाब पूरे होते ही हसरत भी मिट गई
कुछ ख़्वाब रह गए तो निशानी में देखिए
कश्ती ही बस नहीं मेरी महरूमी की वजह
ख़ामी कभी कभी तो रवानी में देखिए
अपना मक़ाम है यहां हर एक से जुदा
शीशे को छोड़ दीजिए पानी में देखिए
ये चश्म-ए-आब-दार नहीं-क़ाबिल-ए-यक़ीं
शब्दों के ए'तिबार मआनी में देखिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Rajput
our suggestion based on Vikas Rajput
As you were reading Education Shayari Shayari