khaak ko khaak mein milaate hue | ख़ाक को ख़ाक में मिलाते हुए

  - Meem Maroof Ashraf

khaak ko khaak mein milaate hue
achha lagta hai zakhm khaate hue

zikr hota hai doston mein tira
cigaretteon ka dhuaan udaate hue

bhool jaata hai be-wafaai ko
apne ausaaf vo ginate hue

kaun saansen tiri badhaata hai
jism par ungaliyaan firaate hue

tujh se to yun hi kah raha tha bas
achhi lagti hai khilkhilate hue

yaaron ja kar ke us ko samjhaao
kho na de mujh ko aazmaate hue

ham ko hargiz na khush samajh lena
garche rahte hain muskuraate hue

saam'ain waah waah karte rahe
ro pada main ghazal sunaate hue

us ka jaana ajeeb tha qaisar
khud bhi roya mujhe rulaate hue

ख़ाक को ख़ाक में मिलाते हुए
अच्छा लगता है ज़ख़्म खाते हुए

ज़िक्र होता है दोस्तों में तिरा
सिगरेटों का धुआँ उड़ाते हुए

भूल जाता है बे-वफ़ाई को
अपने औसाफ़ वो गिनाते हुए

कौन साँसें तिरी बढ़ाता है
जिस्म पर उँगलियाँ फिराते हुए

तुझ से तो यूँ ही कह रहा था बस
अच्छी लगती है खिलखिलाते हुए

यारों जा कर के उस को समझाओ
खो न दे मुझ को आज़माते हुए

हम को हरगिज़ न ख़ुश समझ लेना
गरचे रहते हैं मुस्कुराते हुए

साम'ईं वाह वाह करते रहे
रो पड़ा मैं ग़ज़ल सुनाते हुए

उस का जाना अजीब था 'क़ैसर'
ख़ुद भी रोया मुझे रुलाते हुए

  - Meem Maroof Ashraf

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Maroof Ashraf

As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf

Similar Writers

our suggestion based on Meem Maroof Ashraf

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari