na poocho kaise guzri shab hamaari hijr-e-jaanan mein
rahi hai dil ko shab-bhar be-qaraari hijr-e-jaanan mein
juda kuchh yun hua tha vo ki khushiyaan le gaya saari
so ab kya hai faqat hai aah-o-zaari hijr-e-jaanan mein
dava marham to kya ye waqt se bhi bhar nahin saka
mila hai ham ko aisa zakhm-e-kaari hijr-e-jaanan mein
faqat ik baat hai kun ki mere maula agar kah de
tire dar par khada hai ik bhikaari hijr-e-jaanan mein
kabhi shiddat se yaad aayi lipt kar ro liye khud se
guzaari ham ne yun hi umr saari hijr-e-jaanan mein
न पूछो कैसे गुज़री शब हमारी हिज्र-ए-जानाँ में
रही है दिल को शब-भर बे-क़रारी हिज्र-ए-जानाँ में
जुदा कुछ यूँ हुआ था वो कि ख़ुशियाँ ले गया सारी
सो अब क्या है फ़क़त है आह-ओ-ज़ारी हिज्र-ए-जानाँ में
दवा मरहम तो क्या ये वक़्त से भी भर नहीं सकता
मिला है हम को ऐसा ज़ख़्म-ए-कारी हिज्र-ए-जानाँ में
फ़क़त इक बात है कुन की मिरे मौला अगर कह दे
तिरे दर पर खड़ा है इक भिकारी हिज्र-ए-जानाँ में
कभी शिद्दत से याद आयी लिपट कर रो लिए ख़ुद से
गुज़ारी हम ने यूँ ही उम्र सारी हिज्र-ए-जानाँ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf
our suggestion based on Meem Maroof Ashraf
As you were reading Waqt Shayari Shayari