aankhon kii bas nami se milte hain
jab bhi ham zindagi se milte hain
apni hi bebasi se milte hain
roz ham muflisi se milte hain
unki khaatir jahaan ko chhoda hai
phir bhi vo berookhi se milte hain
aazizi le ke apne lehje mein
log kyun kar kisi se milte hain
nazarein milte hi saans thamti hai
haay vo jab khushi se milte hain
raaste khud-b-khud khule kitne
jab bhi zindaa-dili se milte hain
daur-e-haazir mein ab kahaan meena
dost bhi dilkashi se milte hain
आँखों की बस नमी से मिलते हैं
जब भी हम ज़िंदगी से मिलते हैं
अपनी ही बेबसी से मिलते हैं
रोज़ हम मुफ़्लिसी से मिलते हैं
उनकी ख़ातिर जहाँ को छोड़ा है
फिर भी वो बेरुख़ी से मिलते हैं
आजिज़ी ले के अपने लहजे में
लोग क्यूँ कर किसी से मिलते हैं
नज़रें मिलते ही साँस थमती है
हाय वो जब ख़ुशी से मिलते हैं
रास्ते ख़ुद-ब-ख़ुद खुले कितने
जब भी ज़िन्दा-दिली से मिलते हैं
दौर-ए-हाज़िर में अब कहाँ 'मीना'
दोस्त भी दिलकशी से मिलते हैं
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari