zakhm-e-dil par likha hai tera naam
zeest ko mil raha nahin aaraam
mera jeena hua hai ab to haraam
chhoota hi nahin labon se hai jaam
qaid kar hi nahin saka koii
waqt hota nahin kisi ka ghulaam
shah ya ho faqeer sabka hi
sirf shamshaan aakhiri hai maqaam
mere sheron ka dekhiye mafhoom
pyaar ka de raha hai sabko payaam
jo watan ke liye shaheed hue
un shaheedon ko hai hamaara salaam
jhoote ilzaam lag rahe meena
kya muhabbat ka hai yahi anjaam
ज़ख़्म-ए-दिल पर लिखा है तेरा नाम
ज़ीस्त को मिल रहा नहीं आराम
मेरा जीना हुआ है अब तो हराम
छूटता ही नहीं लबों से है जाम
क़ैद कर ही नहीं सका कोई
वक़्त होता नहीं किसी का ग़ुलाम
शाह या हो फ़क़ीर सबका ही
सिर्फ़ शमशान आख़िरी है मक़ाम
मेरे शेरों का देखिए मफ़हूम
प्यार का दे रहा है सबको पयाम
जो वतन के लिए शहीद हुए
उन शहीदों को है हमारा सलाम
झूटे इल्ज़ाम लग रहे 'मीना'
क्या मुहब्बत का है यही अंजाम
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari