jinke dil mein dekhiye insaaniyat hoti nahin
aise logon kii jahaan mein ahmiyat hoti nahin
khud ko bhi bhoola bashar hai fursaten milti kahaan
kashmakash mein zeest hai roohaniyat hoti nahin
aaj rishton mein kahaan ehsaas apnepan ka hai
unsiyat hoti nahin roomaniyat hoti nahin
pur-fitn maahol hai tahzeeb bhi bhule sabhi
besabab shekhi baghaaren zahniyat hoti nahin
shayari ka kuchh hunar paate na jo ustaad se
lekhani mein unki kuchh kyun khaasiyat hoti nahin
looti hai haq ghareebon ka ameeri hai sada
prem kii taaleem kii kya tarbiyat hoti nahin
daastaan-e-zeest kii manzil sada hoti qaza
ye zameen dekho kisi kii milkiiyat hoti nahin
ye siyaasat bhar rahi bas zeb netaaon kii hai
dard dil mein kuchh nahin aur shehriyat hoti nahin
जिनके दिल में देखिए इंसानियत होती नहीं
ऐसे लोगों की जहाँ में अहमियत होती नहीं
ख़ुद को भी भूला बशर है फ़ुरसतें मिलती कहाँ
कश्मकश में ज़ीस्त है रूहानियत होती नहीं
आज रिश्तों में कहाँ एहसास अपनेपन का है
उन्सियत होती नहीं रूमानियत होती नहीं
पुर-फ़ितन माहौल है तहज़ीब भी भूले सभी
बेसबब शेख़ी बघारें ज़हनियत होती नहीं
शायरी का कुछ हुनर पाते न जो उस्ताद से
लेखनी में उनकी कुछ क्यों ख़ासियत होती नहीं
लूटती है हक़ ग़रीबों का अमीरी है सदा
प्रेम की तालीम की क्या तर्बियत होती नहीं
दास्तान-ए-ज़ीस्त की मंज़िल सदा होती क़ज़ा
ये ज़मीं देखो किसी की मिल्कियत होती नहीं
ये सियासत भर रही बस ज़ेब नेताओं की है
दर्द दिल में कुछ नहीं और शहरियत होती नहीं
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari