rang ulfat ke bharoon jag mein rangeela main banuun | रंग उल्फ़त के भरूँ जग में रँगीला मैं बनूँ

  - Meena Bhatt

rang ulfat ke bharoon jag mein rangeela main banuun
zahar pee loon sabhi nafrat ka bhi neela main banuun

kaam kuchh aise karoon naaz ho jis par sabko
roop pe hon sabhi mohit yun sajeela main banuun

hai bhala vo maza is may mein kahaan ab hamdam
roz aankhon se piyuun jaam nasheela main banuun

nikloon saj-dhaj ke to charche bhi hon har-soo mere
chahe koii bhi kahe chhail chabeela main banuun

ye zamaana kare bhi rashk hamesha jis par
ishq ka aur wafa ka vo qabeela main banuun

jhonka koii bhi hawa ka na gira paaye mujhe
ya khuda aisa taraasho ki gatheela main banuun

roz gaane lagoo main ishq kii sargam meena
iltijaa hai ye khuda se ki sureela main banuun

रंग उल्फ़त के भरूँ जग में रँगीला मैं बनूँ
ज़हर पी लूँ सभी नफ़रत का भी नीला मैं बनूँ

काम कुछ ऐसे करूँ नाज़ हो जिस पर सबको
रूप पे हों सभी मोहित यूँ सजीला मैं बनूँ

है भला वो मज़ा इस मय में कहाँ अब हमदम
रोज़ आँखों से पियूँ जाम नशीला मैं बनूँ

निकलूँ सज-धज के तो चर्चे भी हों हर-सू मेरे
चाहे कोई भी कहे छैल छबीला मैं बनूँ

ये ज़माना करे भी रश्क हमेशा जिस पर
इश्क़ का और वफ़ा का वो क़बीला मैं बनूँ

झोंका कोई भी हवा का न गिरा पाए मुझे
या ख़ुदा ऐसा तराशो कि गठीला मैं बनूँ

रोज़ गाने लगूँ मैं इश्क़ की सरगम 'मीना'
इल्तिजा है ये ख़ुदा से कि सुरीला मैं बनूँ

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari