usne bas rasm-e-aashiqi kii hai
naam-e-ulfat pe dillagi kii hai
har nafs hamne aakhiri kii hai
ishq mein jaise khudkushi kii hai
nafratoin ke jahaan mein hamne
bas muhabbat se dosti kii hai
door pal mein hue hain gham saare
ishq ne khoob sahiri kii hai
ho mulaqaat uski saagar se
bas yahi khwaahish ik nadi kii hai
jaam chalke hain phir se ulfat ke
kya saba ne bhi sarkhushi kii hai
dard hai gham hai aur kasak dil mein
bas haqeeqat ye zindagi kii hai
shauq bachchon ka poora karne ko
apne kharchon mein kuchh kami kii hai
ho mukammal bhi ye ghazal meena
baad muddat ke shaayari kii hai
उसने बस रस्म-ए-आशिक़ी की है
नाम-ए-उल्फ़त पे दिल्लगी की है
हर नफ़स हमने आख़िरी की है
इश्क़ में जैसे ख़ुदकुशी की है
नफ़रतों के जहान में हमने
बस मुहब्बत से दोस्ती की है
दूर पल में हुए हैं ग़म सारे
इश्क़ ने ख़ूब साहिरी की है
हो मुलाक़ात उसकी सागर से
बस यही ख़्वाहिश इक नदी की है
जाम छलके हैं फिर से उल्फ़त के
क्या सबा ने भी सरख़ुशी की है
दर्द है ग़म है और कसक दिल में
बस हक़ीक़त ये ज़िंदगी की है
शौक़ बच्चों का पूरा करने को
अपने ख़र्चों में कुछ कमी की है
हो मुकम्मल भी ये ग़ज़ल मीना
बाद मुद्दत के शाइरी की है
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari