rab de apna pata tariqe se
bandagi bhi sikha tariqe se
ishq kuchh to jata tariqe se
dil mein apne bitha tariqe se
log ungli utha saken na kabhi
kar tu sabka bhala tariqe se
jal na jaayen makaan gharibon ke
barq to rab gira tariqe se
khwaab hote sabhi mukammal hain
unko dil mein saja tariqe se
aaye sabki zabaan pe meri ghazal
kar tu kuchh tarjuma tariqe se
rakhti mahfooz har bala se vo
maa kii le tu dua tariqe se
rakhta talkhi zubaan par meena
kab hai vo bolta tariqe se
रब दे अपना पता तरीक़े से
बंदगी भी सिखा तरीक़े से
इश्क़ कुछ तो जता तरीक़े से
दिल में अपने बिठा तरीक़े से
लोग उँगली उठा सकें न कभी
कर तू सबका भला तरीक़े से
जल न जाएँ मकाँ ग़रीबों के
बर्क़ तो रब गिरा तरीक़े से
ख़्वाब होते सभी मुकम्मल हैं
उनको दिल में सजा तरीक़े से
आए सबकी ज़बाँ पे मेरी ग़ज़ल
कर तू कुछ तर्जुमा तरीक़े से
रखती महफ़ूज़ हर बला से वो
माँ की ले तू दुआ तरीक़े से
रखता तल्ख़ी ज़बान पर 'मीना'
कब है वो बोलता तरीक़े से
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari