khaali daftar aur nahin kuchh
gaayab afsar aur nahin kuchh
dil rakhne ko hi tum kah do
tumse sundar aur nahin kuchh
lipate rahte hain chandan se
hardam vishadhar aur nahin kuchh
rishvat ki bas khwaahish inko
khaate afsar aur nahin kuchh
dard-e-jigar ki khaak dava luun
may se behtar aur nahin kuchh
sirf kitaaben sirf risaale
bas mere ghar aur nahin kuchh
tanj kasen bas teri ghazlen
karti din bhar aur nahin kuchh
meri tamannaa teri chaahat
chaahoon dilbar aur nahin kuchh
jo bole sach bole meena
sach se hatkar aur nahin kuchh
ख़ाली दफ़्तर और नहीं कुछ
गायब अफ़सर और नहीं कुछ
दिल रखने को ही तुम कह दो
तुमसे सुंदर और नहीं कुछ
लिपटे रहते हैं चंदन से
हरदम विषधर और नहीं कुछ
रिश्वत की बस ख़्वाहिश इनको
खाते अफ़सर और नहीं कुछ
दर्द-ए-जिगर की ख़ाक दवा लूँ
मय से बेहतर और नहीं कुछ।
सिर्फ़ किताबें सिर्फ़ रिसाले
बस मेरे घर और नहीं कुछ
तंज़ कसें बस तेरी ग़ज़लें
करती दिन भर और नहीं कुछ
मेरी तमन्ना तेरी चाहत
चाहूँ दिलबर और नहीं कुछ
जो बोले सच बोले 'मीना'
सच से हटकर और नहीं कुछ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Khwaahish Shayari Shayari