zaroorat neev ki hoti hai dar se baam se pehle | ज़रूरत नींव की होती है दर से बाम से पहले

  - Meena Bhatt

zaroorat neev ki hoti hai dar se baam se pehle
muhabbat rooh karti hai sada ajsaam se pehle

mukammal ho ye chaahat bhi na ho kuhraam bhi koi
khuda hamko mile manzil yahan ayyaam se pehle

dayaare ghair mein hamko sataati yaad maazi ki
tadpata dil mera kunj-e-qafs mein shaam se pehle

na kaanto ki hukoomat ho na ho khanjar kisi ke haath
tamannaa hai nazaara ho yahi anjaam sepehle

tarasha tha rubaai ko bahut logon ne pehle bhi
na thi usmein kabhi zeenat magar khayyaam se pehle

nikal kar jab chali woh to use maa ne hidaayat di
ki waapas lautna beti tu ghar par shaam se pehle

hoon nasl-e-meer main mujhko sukhun ke hain adab maaloom
sada luun naam ghalib ka kisi bhi naam se pehle

dhadkata dil hamaara hai na shikaayat ab talak aaya
muhabbat mit na jaaye ye tere paigaam se pehle

mujhe dushman na samjho tum main saccha dost hoon meena
zara kuchh pooch to lete khayaal-e-khaam se pehle

ज़रूरत नींव की होती है दर से बाम से पहले
मुहब्बत रूह करती है सदा अज्साम से पहले

मुकम्मल हो ये चाहत भी न हो कुहराम भी कोई
ख़ुदा हमको मिले मंज़िल यहाँ अय्याम से पहले

दयारे ग़ैर में हमको सताती याद माज़ी की
तड़पता दिल मेरा कुंजएक़फ़स में शाम से पहले

न काँटो की हुकूमत हो न हो ख़ंजर किसी के हाथ
तमन्ना है नज़ारा हो यही अंजाम सेपहले

तराशा था रुबाई को बहुत लोगों ने पहले भी
न थी उसमें कभी ज़ीनत मगर ख़य्याम से पहले

निकल कर जब चली वह तो उसे माँ ने हिदायत दी
कि वापस लौटना बेटी तू घर पर शाम से पहले

हूँ नस्लेमीर मैं मुझको सुख़न के हैं अदब मालूम
सदा लूँ नाम ग़ालिब का किसी भी नाम से पहले

धड़कता दिल हमारा है न क़ासिद अब तलक आया
मुहब्बत मिट न जाए ये तेरे पैग़ाम से पहले

मुझे दुश्मन न समझो तुम मैं सच्चा दोस्त हूँ मीना
ज़रा कुछ पूछ तो लेते ख़यालेख़ाम से पहले

  - Meena Bhatt

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari