tera israar hai main tujhko bhula kar dekhoon
door yaadon ka teri jaal hata kar dekhoon
aaj tujhko main sanam apna bana kar dekhoon
chaand taaron se teri maang saja kar dekhoon
masale ishq ke suljhaa na saka hai koii
jaake ye baat main unko bhi jata kar dekhoon
saazishein karte hain din raat zamaane waale
raaz ye unko kisi roz bata kar dekhoon
tera dukh dard nahin kaise mitega aakhir
aa mere laal tujhe dil se laga kar dekhoon
dekh insaan hoon hindu na hoon muslim yaara
khoon hai ek sabhi ka ye milaakar dekhoon
guftagoo karti hai shab jo kabhi ham se meena
tab ghazal ishq kii usko ye sunaakar dekhoon
तेरा इसरार है मैं तुझको भुला कर देखूँ
दूर यादों का तेरी जाल हटा कर देखूँ
आज तुझको मैं सनम अपना बना कर देखूँ
चाँद तारों से तेरी माँग सजा कर देखूँ
मसअले इश्क़ के सुलझा न सका है कोई
जाके ये बात मैं उनको भी जता कर देखूँ
साज़िशें करते हैं दिन रात ज़माने वाले
राज़ ये उनको किसी रोज़ बता कर देखूँ
तेरा दुख दर्द नहीं कैसे मिटेगा आख़िर
आ मेरे लाल तुझे दिल से लगा कर देखूँ
देख इंसान हूँ हिन्दू न हूँ मुस्लिम यारा
ख़ून है एक सभी का ये मिलाकर देखूँ
गुफ़्तगू करती है शब जो कभी हम से 'मीना'
तब ग़ज़ल इश्क़ की उसको ये सुनाकर देखूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Sharaab Shayari Shayari