zaalim ne zindagi hi meri tabaah kar di
nafrat ne kaisi meri mitti tabaah kar di
aatank ne hain apne pair is qadar pasaare
kashmir ki haseen ye waadi tabaah kar di
majhdhaar se bacha to ik qahar aur aaya
toofaan ne to meri kashti tabaah kar di
bardaasht kar na paai naadaari ko ameeri
phir ik mahal ne unki basti tabaah kar di
vo banna chahta tha ma'roof ek shayar
uski khushamdi ne hasti tabaah kar di
gaandhi ke falsafe se kar baithe hain kinaara
qaid ne aajkal ke khaadi tabaah kar di
meena bashar ke aakhir is ishtiyaq ne ab
dharti ki dekh choonar dhaani tabaah kar di
meena bhatt siddharth
ज़ालिम ने ज़िंदगी ही मेरी तबाह कर दी
नफ़रत ने कैसी मेरी मिट्टी तबाह कर दी
आतंक ने हैं अपने पैर इस क़दर पसारे
कश्मीर की हसीं ये वादी तबाह कर दी
मझधार से बचा तो इक क़हर और आया
तूफ़ान ने तो मेरी कश्ती तबाह कर दी
बर्दाश्त कर न पाई नादारी को अमीरी
फिर इक महल ने उनकी बस्ती तबाह कर दी
वो बनना चाहता था मा'रूफ़ एक शायर
उसकी ख़ुशामदी ने हस्ती तबाह कर दी
गाँधी के फ़लसफ़े से कर बैठे हैं किनारा
क़ाइद ने आजकल के खादी तबाह कर दी
मीना बशर के आख़िर इस इश्तियाक़ ने अब
धरती की देख चूनर धानी तबाह कर दी
मीना भट्ट *सिद्धार्थ*
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Kashti Shayari Shayari