dil ke jalne pe dhuaan ho ye zaroori to nahin | दिल के जलने पे धुआँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

  - Meena Bhatt

dil ke jalne pe dhuaan ho ye zaroori to nahin
dard ye sab pe ayaan ho ye zaroori to nahin

soch kar bas yahi chupchaap sahe hamne sitam
zulm ka qissa bayaan ho ye zaroori to nahin

kuchh to ehsaas karo dard-e-shjar ka tum bhi
unke munh mein bhi zabaan ho ye zaroori to nahin

gulshan-e-ishq pe main daanv lagaakar dekhoon
mere hisse mein khizaan ho ye zaroori to nahin

raat rangeen ho khushrang ho mausam ka mizaj
dil magar unka jawaan ho ye zaroori to nahin

zalzale mahlon ko bhi ret kiya karte hain
toota apna hi makaan ho ye zaroori to nahin

rab ke har faisale par sar ko jhukaaya meena
sunta meri vo yahan ho ye zaroori to nahin

दिल के जलने पे धुआँ हो ये ज़रूरी तो नहीं
दर्द ये सब पे अयाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

सोच कर बस यही चुपचाप सहे हमने सितम
ज़ुल्म का क़िस्सा बयाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

कुछ तो एहसास करो दर्द-ए-शजर का तुम भी
उनके मुँह में भी ज़बाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

गुलशन-ए-इश्क़ पे मैं दाँव लगाकर देखूँ
मेरे हिस्से में ख़िज़ाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

रात रंगीन हो ख़ुशरंग हो मौसम का मिज़ाज
दिल मगर उनका जवाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

ज़लज़ले महलों को भी रेत किया करते हैं
टूटा अपना ही मकाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

रब के हर फ़ैसले पर सर को झुकाया मीना
सुनता मेरी वो यहाँ हो ये ज़रूरी तो नहीं

  - Meena Bhatt

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari