guzra jahaan bachpan vo makaan yaad rahega
hamko vo muhabbat ka jahaan yaad rahega
naayaab jo iqaar kiya ishq ka tumne
in aankhon ko hardam wahi haan yaad rahega
afsos na ghar tootne ka unko kisi ka
khudgharz ko apna hi jiyaan yaad rahega
is shahr ne di hai hamein do waqt kii roti
ya rab ye mera rozi rasaan yaad rahega
ham bhool bhi jaayenge muhabbat ke mile pal
par hamko judaai ka samaan yaad rahega
ghalib na yahan meer sa ab koii sukhanvar
unka hamein andaaz ebyaan yaad rahega
ab bhool na sakte kabhi zalim ke sitam ko
jo gham mila duniya se giran yaad rahega
ye aahofughaan ishq kii sougaat hai meena
ye dard hamesha hi miyaan yaad rahega
गुज़रा जहाँ बचपन वो मकाँ याद रहेगा
हमको वो मुहब्बत का जहाँ याद रहेगा
नायाब जो इक़रार किया इश्क़ का तुमने
इन आँखों को हरदम वही हाँ याद रहेगा
अफ़सोस न घर टूटने का उनको किसी का
ख़ुदग़रज़ को अपना ही जियाँ याद रहेगा
इस शह्र ने दी है हमें दो वक़्त की रोटी
या रब ये मेरा रोज़ी रसाँ याद रहेगा
हम भूल भी जाएँगे मुहब्बत के मिले पल
पर हमको जुदाई का समाँ याद रहेगा
ग़ालिब न यहाँ मीर सा अब कोई सुख़नवर
उनका हमें अंदाज़ एबयाँ याद रहेगा
अब भूल न सकते कभी ज़ालिम के सितम को
जो ग़म मिला दुनिया से गिराँ याद रहेगा
ये आहओफ़ुग़ाँ इश्क़ की सौगात है मीना
ये दर्द हमेशा ही मियाँ याद रहेगा
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari