chehre pe mere shaan se jeene kii chamak hai | चेहरे पे मेरे शान से जीने की चमक है

  - Meena Bhatt

chehre pe mere shaan se jeene kii chamak hai
jo ashk mile shauq se peene kii chamak hai

sheron mein bayaan karte muhabbat kii kahaani
har harf mein ulfat ke nageene kii chamak hai

toofaani hawa kii kabhi karte nahin parwaah
aankhon mein mile zakhamon ko seene kii chamak hai

taabinda nazar aayegi yaksaan jo abad tak
allah ke bandon vo madine kii chamak hai

jannat hai dikhi maa tere qadmon mein mujhe to
maathe pe jo boonden hain paseene kii chamak hai

jab se likha hai naam tera dil pe yun mere
raushan hua hai dil ye qareene kii chamak hai

mishri sii ghuli khushnuma alfaaz mein meena
lab pe tere saawan ke maheene kii chamak hai

चेहरे पे मेरे शान से जीने की चमक है
जो अश्क मिले शौक़ से पीने की चमक है

शेरों में बयाँ करते मुहब्बत की कहानी
हर हर्फ़ में उल्फ़त के नगीने की चमक है

तूफ़ानी हवा की कभी करते नहीं परवाह
आँखों में मिले ज़ख़्मों को सीने की चमक है

ताबिन्दा नज़र आएगी यकसाँ जो अबद तक
अल्लाह के बंदों वो मदीने की चमक है

जन्नत है दिखी माँ तेरे क़दमों में मुझे तो
माथे पे जो बूँदें हैं पसीने की चमक है

जब से लिखा है नाम तेरा दिल पे यूँ मेरे
रौशन हुआ है दिल ये क़रीने की चमक है

मिश्री सी घुली ख़ुशनुमा अल्फ़ाज़ में 'मीना'
लब पे तेरे सावन के महीने की चमक है

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari