muhabbat mein mila mujhko hamesha gham ka nazraana
kahein kya gham hi deta hai mere hamdam ka nazraana
chhatti jo teergi aayi sehar qudrat bhi muskaai
diya hai bhor ne har phool ko shabnam ka nazraana
hui muddat nahin badla adoo se bair ka rishta
kai saalon se deta aa raha maatam ka nazraana
bahaaron ke kahaan din hai hamaari zindagi me ab
hamein haasil hua hai dard ke mausam ka nazraana
hamaari har ghazal mein noor faila hai tumhaara hi
khushi ka ya kaho isko ghame puranam ka nazaanaa
badhi raftaar jag ki choo liya hai chaand ko lekin
na jaane kyun mila karta hamein madhyam ka nazraana
kisi se pooch kar dekho yahi meena kahega vo
hamesha baante rahte hain ham marham ka nazaanaa
मुहब्बत में मिला मुझको हमेशा ग़म का नज़राना
कहें क्या ग़म ही देता है मेरे हमदम का नज़राना
छँटी जो तीरगी आई सहर क़ुदरत भी मुस्काई
दिया है भोर ने हर फूल को शबनम का नज़राना
हुई मुद्दत नहीं बदला अदू से बैर का रिश्ता
कई सालों से देता आ रहा मातम का नज़राना
बहारों के कहाँ दिन है हमारी ज़िन्दगी मे अब
हमें हासिल हुआ है दर्द के मौसम का नज़राना
हमारी हर ग़ज़ल में नूर फैला है तुम्हारा ही
ख़ुशी का या कहो इसको ग़मे पुरनम का नज़राना
बढ़ी रफ़्तार जग की छू लिया है चाँद को लेकिन
न जाने क्यों मिला करता हमें मध्यम का नज़राना
किसी से पूछ कर देखो यही मीना कहेगा वो
हमेशा बाँटते रहते हैं हम मरहम का नज़राना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Raat Shayari Shayari