mitti milti janab mitti mein | मिट्टी मिलती जनाब मिट्टी में

  - Meena Bhatt

mitti milti janab mitti mein
dafan saare nawaab mitti mein

jab bhi daala hai aab mitti mein
khilta dekha gulaab mitti mein

zinda hain khwaahishein abhi saari
roz uthte hubaab mitti mein

rooh rukhsat hui hai ab dekho
jism hota turaab mitti mein

mil gayi aaj dekh lo tum bhi
zindagi kii yah kitaab mitti mein

khatm saara visaal ka kissa
rote ham behisaab mitti mein

roz choomen watan kii mitti ko
pyaar hai laajwaab mitti mein

naaz mumtaaz ko bhi tha jispe
mil gaya vo shabaab mitti mein

nam hui aankhe dekh meena kii
jab mila koii khwaab mitti mein

मिट्टी मिलती जनाब मिट्टी में
दफ़्न सारे नवाब मिट्टी में

जब भी डाला है आब मिट्टी में
खिलता देखा गुलाब मिट्टी में

ज़िंदा हैं ख़्वाहिशें अभी सारी
रोज़ उठते हुबाब मिट्टी में

रूह रुख़सत हुई है अब देखो
जिस्म होता तुराब मिट्टी में

मिल गयी आज देख लो तुम भी
ज़ीस्त की यह किताब मिट्टी में

ख़त्म सारा विसाल का किस्सा
रोते हम बेहिसाब मिट्टी में

रोज़ चूमें वतन की मिट्टी को
प्यार है लाजवाब मिट्टी में

नाज़ मुमताज़ को भी था जिसपे
मिल गया वो शबाब मिट्टी में

नम हुई आँखे देख मीना की
जब मिला कोई ख़्वाब मिट्टी में

  - Meena Bhatt

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari