tumhaare hijr mein yaadon ka lashkar kaun likkhega
hamaari aankhon mein thehra samundar kaun likkhega
na hai tahzeeb tujhmein aur na hai boo-e-adab tujhmein
milega khaak mein jab tu tawangar kaun likkhega
hain sabke haath mein khanjar sabhi qaateel hain rishton ke
uthi gar bugz kii deewaar to ghar kaun likkhega
pashemaan zindagi khud hai hunar aaya na jeene ka
hamaare baad ashkon ka ye manzar kaun likkhega
na tune jang hi jeeti na tere paas hai daulat
bata tujhko muqaddar ka sikandar kaun likkhega
hua rab ka karam ham par mile hain khoob ham dono
adaaon ko adaayein ab sitamgar kaun likkhega
rawaani hai na sheron mein na meena bahr mein ghazlein
sar-e-mahfil mujhe yun hi sukhanvar kaun likkhega
तुम्हारे हिज्र में यादों का लश्कर कौन लिक्खेगा
हमारी आँखों में ठहरा समुंदर कौन लिक्खेगा
न है तहज़ीब तुझमें और न है बू-ए-अदब तुझमें
मिलेगा ख़ाक में जब तू तवंगर कौन लिक्खेगा
हैं सबके हाथ में ख़ंजर सभी क़ातिल हैं रिश्तों के
उठी गर बुग़्ज़ की दीवार तो घर कौन लिक्खेगा
पशेमाँ ज़िन्दगी ख़ुद है हुनर आया न जीने का
हमारे बाद अश्कों का ये मंज़र कौन लिक्खेगा
न तूने जंग ही जीती न तेरे पास है दौलत
बता तुझको मुक़द्दर का सिकंदर कौन लिक्खेगा
हुआ रब का करम हम पर मिले हैं ख़ूब हम दोनों
अदाओं को अदाएँ अब सितमगर कौन लिक्खेगा
रवानी है न शेरों में न 'मीना' बह्र में ग़ज़लें
सर-ए-महफ़िल मुझे यूँ ही सुख़नवर कौन लिक्खेगा
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari