haseen kya koii manzar meri talash mein hai
suna hai mera vo dilbar meri talash mein hai
kisi ka pyaar mukarrar meri talash mein hai
khushi hai mujhko muqaddar meri talash mein hai
zara sa qatra hoon lekin naseeb hai mera
jo khud hi ek samundar meri talash mein hai
kabhi jo pyaar se mujhko gulaab deta tha
vo haath mein liye patthar meri talash mein hai
na ho saki hai mukammal ye zindagi meri
ajab hawaon ka lashkar meri talash mein hai
ghule hain dard sabhi aaj mere ashkon mein
ghamon ka kaisa ye manzar meri talash mein hai
vujood mera mitaakar bhi khush nahin rehta
abhi bhi mera sitamgar meri talash mein hai
falak pe pahunchee magar kuchh nahin mila mujhko
samajh rahi thi ki akhtar meri talash mein hai
ghazal kahoon to bhala kaise main kahoon meena
vo lafz gum hai jo behtar meri talash mein hai
हसीन क्या कोई मंज़र मेरी तलाश में है
सुना है मेरा वो दिलबर मेरी तलाश में है
किसी का प्यार मुकर्रर मेरी तलाश में है
ख़ुशी है मुझको मुक़द्दर मेरी तलाश में है
ज़रा सा क़तरा हूँ लेकिन नसीब है मेरा
जो ख़ुद ही एक समुन्दर मेरी तलाश में है
कभी जो प्यार से मुझको गुलाब देता था
वो हाथ में लिए पत्थर मेरी तलाश में है
न हो सकी है मुकम्मल ये ज़िन्दगी मेरी
अजब हवाओं का लश्कर मेरी तलाश में है
घुले हैं दर्द सभी आज मेरे अश्कों में
ग़मों का कैसा ये मंज़र मेरी तलाश में है
वजूद मेरा मिटाकर भी ख़ुश नहीं रहता
अभी भी मेरा सितमगर मेरी तलाश में है
फ़लक पे पहुँची मगर कुछ नहीं मिला मुझको
समझ रही थी कि अख़्तर मेरी तलाश में है
ग़ज़ल कहूॅं तो भला कैसे मैं कहूँ मीना
वो लफ़्ज़ गुम है जो बेहतर मेरी तलाश में है
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari