chhupaane ki harik ranj-o-gham taaseer rakhte hain
ayaan chehre se kab hai jo jigar mein peer rakhte hain
bulandi par wahi apni yahan taqdeer rakhte hain
jo har ik kaam karne ki haseen tadbeer rakhte hain
kabhi dil se lagaate hain kabhi khat choomte hain vo
saja kar apni aankhon mein meri tahreer rakhte hain
likha hai jo hatheli par kabhi vo mit na paayega
hunar ke saath ham usmein nayi tanveer rakhte hain
yahan aise sukhnavar bhi hain jinko sher kehne ka
saleeqaa kuchh nahin lekin takhallus meer rakhte hain
hunar aata hai unko qatl karke gar chhupaane ka
nazar ham bhi magar apni misaale teer rakhte hain
jise chahein nigaahon se use paagal bana daalen
nigaahon mein sanam apni ye ham taaseer rakhte hain
ghazalgoi ka jis maa ne hunar hamko diya meena
nazar ke saamne uski sada tasveer rakhte hain
छुपाने की हरिक रंज-ओ-अ़लम तासीर रखते हैं
अयाँ चेहरे से कब है जो जिगर में पीर रखते हैं
बुलन्दी पर वही अपनी यहाँ तक़दीर रखते हैं
जो हर इक काम करने की ह़सीं तदबीर रखते हैं
कभी दिल से लगाते हैं कभी ख़त चूमते हैं वो
सजा कर अपनी आँखों में मेरी तहरीर रखते हैं
लिखा है जो हथेली पर कभी वो मिट न पाएगा
हुनर के साथ हम उसमें नई तनवीर रखते हैं
यहाँ ऐसे सुख़नवर भी हैं जिनको शेर कहने का
सलीक़ा कुछ नहीं लेकिन तख़ल्लुस मीर रखते हैं
हुनर आता है उनको क़त्ल करके गर छुपाने का
नज़र हम भी मगर अपनी मिसाले तीर रखते हैं
जिसे चाहें निगाहों से उसे पागल बना डालें
निगाहों में सनम अपनी ये हम तासीर रखते हैं
ग़ज़लगोई का जिस माँ ने हुनर हमको दिया मीना
नज़र के सामने उसकी सदा तस्वीर रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Charagh Shayari Shayari