milti sabhi se meri ghazal dilkashi ke saath
sheerin zabaan hai uski badi chaashni ke saath
ham jeete zindagi ko hain darya-dili ke saath
har lamha hai haseen faqat maikshi ke saath
baatein karenge vasl kii aur intizaar kii
iqraar-e-ishq kii sada sanjeedgi ke saath
beeti sukhanvari mein hi ab tak tamaam umr
insaaf kab karoge magar shaayari ke saath
maine liya tha naam to uska khuloos se
usne diya jawaab magar berukhi ke saath
aafat hazaar sir pe hai maayusiyaan bahut
kaise guzaaren din bhala ham muflisi ke saath
ye daur khauf ka hai dua kar khuda se tu
mushkil janab jeena hai ab teergi ke saath
dhoke diye habeeb ne rusva kiya hamein
aur sir jhuka ke apne khade buzdili ke saath
मिलती सभी से मेरी ग़ज़ल दिलकशी के साथ
शीरीं ज़बाँ है उसकी बड़ी चाशनी के साथ
हम जीते ज़िंदगी को हैं दरिया-दिली के साथ
हर लम्हा है हसीन फ़क़त मैकशी के साथ
बातें करेंगे वस्ल की और इंतिज़ार की
इक़रार-ए-इश्क़ की सदा संजीदगी के साथ
बीती सुख़नवरी में ही अब तक तमाम उम्र
इंसाफ़ कब करोगे मगर शाइरी के साथ
मैंने लिया था नाम तो उसका ख़ुलूस से
उसने दिया जवाब मगर बेरुख़ी के साथ
आफ़त हज़ार सिर पे है मायूसियाँ बहुत
कैसे गुज़ारें दिन भला हम मुफ़लिसी के साथ
ये दौर ख़ौफ़ का है दुआ कर ख़ुदा से तू
मुश्किल जनाब जीना है अब तीरगी के साथ
धोखे दिए हबीब ने रुस्वा किया हमें
और सिर झुका के अपने खड़े बुज़दिली के साथ
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari