is ishq ki raahon se to anjaan hain ham bhi
kamsin hain agar aap to naadaan hain ham bhi
jab aayein sunaane vo hamein gham ka fasaana
ye kaise kahein ham ki pareshaan hain ham bhi
zardaar agar tum ho miyaan laal-o-guhar se
daulat hai bahut ilm ki dhanwaan hain ham bhi
taqat ka hamein dar na dikhaayein kabhi hazrat
aandhi hain agar aap to toofaan hain ham bhi
toofaan bade aaye mitaane ko hamein par
tilbhar na hila paaye ki chattan hain ham bhi
ik roz guzar jaayenge khaamosh yahan se
kuchh din ke faqat dekhiye mehmaan hain ham bhi
kya khoob ghazal aaj ye tumne kahi yaara
par yaad rakho meer ka deewaan hain ham bhi
becha na museebat mein bhi eimaan ko meena
hai naaz bahut saahib-e-imaan hain ham bhi
इस इश्क़ की राहों से तो अनजान हैं हम भी
कमसिन हैं अगर आप तो नादान हैं हम भी
जब आएँ सुनाने वो हमें ग़म का फ़साना
ये कैसे कहें हम कि परेशान हैं हम भी
ज़रदार अगर तुम हो मियाँ लाल-ओ-गुहर से
दौलत है बहुत इल्म की धनवान हैं हम भी
ताक़त का हमें डर न दिखाएँ कभी हज़रत
आँधी हैं अगर आप तो तूफ़ान हैं हम भी
तूफ़ान बड़े आए मिटाने को हमें पर
तिलभर न हिला पाए कि चट्टान हैं हम भी
इक रोज़ गुज़र जाएँगे ख़ामोश यहाँ से
कुछ दिन के फ़क़त देखिए मेहमान हैं हम भी
क्या खूब ग़ज़ल आज ये तुमने कही यारा
पर याद रखो मीर का दीवान हैं हम भी
बेचा न मुसीबत में भी ईमान को 'मीना'
है नाज़ बहुत साहिब-ए-ईमान हैं हम भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Udasi Shayari Shayari