bikhre hain mere dil mein teri aarzoo ke phool | बिखरे हैं मेरे दिल में तेरी आरज़ू के फूल

  - Meena Bhatt

bikhre hain mere dil mein teri aarzoo ke phool
aakar samet le ye teri justuju ke phool

khushboo hamaare vasl kii phaili hai har jagah
har ja biche hue hain yahan guftugoo ke phool

mahfooz rakhe dil mein teri chahten janab
aur yaad jisne bakshe gham-e-surkhroo ke phool

dil ka sawaal itna tha kya hai naseeb mein
dil ka jawaab ye ki gham-e-aabroo ke phool

nafrat ko jis kisi ne bhi mazhab bana liya
soghat mein mile hain use bas lahu ke phool

khwaahish thi jiski khwaab mukammal bhi ho gaya
khwaabon mein hamne paaye wafaon kii boo ke phool

khaaron ke sang zindagi mein meena yun shaal par
ik umr se bana rahi hoon main rafu ke phool

बिखरे हैं मेरे दिल में तेरी आरज़ू के फूल
आकर समेट ले ये तेरी जुस्तुजू के फूल

ख़ुशबू हमारे वस्ल की फैली है हर जगह
हर जा बिछे हुए हैं यहाँ गुफ़्तुगू के फूल

महफ़ूज़ रक्खे दिल में तेरी चाहतें जनाब
और याद जिसने बख़्शे ग़म-ए-सुर्ख़रू के फूल

दिल का सवाल इतना था क्या है नसीब में
दिल का जवाब ये कि ग़म-ए-आबरू के फूल

नफ़रत को जिस किसी ने भी मज़हब बना लिया
सौग़ात में मिले हैं उसे बस लहू के फूल

ख़्वाहिश थी जिसकी ख़्वाब मुकम्मल भी हो गया
ख़्वाबों में हमने पाए वफ़ाओं की बू के फूल

ख़ारों के संग ज़ीस्त में मीना यूँ शाल पर
इक उम्र से बना रही हूँ मैं रफ़ू के फूल

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari