khojta firta hoon par milta nahin dil ka pata | खोजता फिरता हूँ पर मिलता नहीं दिल का पता

  - Meena Bhatt

khojta firta hoon par milta nahin dil ka pata
koi aakar to bata de mujhko manzil ka pata

bol deta khoon bhi de kar shahaadat ek din
laash ne khud hi bataaya apne qaatil ka pata

amn ka gulshan jalane ki talab rakhte hain jo
jaante hain vo faqat khanjar missile ka pata

kar gaya tanhaa mujhe khud khoon mera dekhiye
jaise koi de gaya ho mujhko mushkil ka pata

rozo shab chalti hawa dekho mukhalif hai magar
bhool sakti hi nahin ghazlein to mehfil ka pata

zindagi ka bhi safar aasaan to hota hi nahin
hausale mere hi denge mujhko manzil ka pata

hasratein dil mein machalne lag gaeein deedaar ki
teri aankhon se mila ulfat ke haasil ka pata

uski majboori to koi bhi samajhta hi nahin
ab to rakhta hi nahin koi bhi sail ka pata

zeest ke majhdhaar mein meena ki kashti hai abhi
kya karenge dhoondh kar ab ham bhi saahil ka pata

खोजता फिरता हूँ पर मिलता नहीं दिल का पता
कोई आकर तो बता दे मुझको मंज़िल का पता

बोल देता ख़ून भी दे कर शहादत एक दिन
लाश ने ख़ुद ही बताया अपने क़ातिल का पता

अम्न का गुलशन जलाने की तलब रखते हैं जो
जानते हैं वो फ़क़त ख़ंजर मिसाइल का पता

कर गया तन्हा मुझे ख़ुद ख़ून मेरा देखिए
जैसे कोई दे गया हो मुझको मुश्किल का पता

रोज़ो शब चलती हवा देखो मुख़ालिफ़ है मगर
भूल सकती ही नहीं ग़ज़लें तो महफ़िल का पता

ज़िन्दगी का भी सफ़र आसाँ तो होता ही नहीं
हौसले मेरे ही देंगे मुझको मंज़िल का पता

हसरतें दिल में मचलने लग गईं दीदार की
तेरी आँखों से मिला उल्फ़त के हासिल का पता

उसकी मजबूरी तो कोई भी समझता ही नहीं
अब तो रखता ही नहीं कोई भी साइल का पता

ज़ीस्त के मझधार में 'मीना' की कश्ती है अभी
क्या करेंगे ढूँढ कर अब हम भी साहिल का पता

  - Meena Bhatt

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari