takraar hi takraar hai maaloom nahin kyun
israar na iqaar hai maaloom nahin kyun
ehsaas nahin pyaar ka rishton kii na qeemat
barham dar-o-deewar hai maaloom nahin kyun
tahzeeb sabhi bhule hain jhagde mein ana ke
koii na wafadar hai maaloom nahin kyun
ghaflat mein qalam lafzon pe aafat sii padi hai
goonga hua akhbaar hai maaloom nahin kyun
chaalein hain siyaasat mein siyaasat mein adavat
janta na samajhdaar hai maaloom nahin kyun
sacche kii himayat mein yahan kaun khada hai
jhoothe kii hi jaykaar hai maaloom nahin kyun
kaanoon rakhe zeb mein firte hain yahan sab
har shakhs khataagar hai maaloom nahin kyun
dhalti nahin ghazalon mein ye ashaar mere ab
damdaar na fankaar hai maaloom nahin kyun
तकरार ही तकरार है मालूम नहीं क्यों
इसरार न इक़रार है मालूम नहीं क्यों
एहसास नहीं प्यार का रिश्तों की न क़ीमत
बरहम दर-ओ-दीवार है मालूम नहीं क्यों
तहज़ीब सभी भूले हैं झगड़े में अना के
कोई न वफ़ादार है मालूम नहीं क्यों
ग़फ़लत में क़लम लफ़्ज़ों पे आफ़त सी पड़ी है
गूँगा हुआ अख़बार है मालूम नहीं क्यों
चालें हैं सियासत में सियासत में अदावत
जनता न समझदार है मालूम नहीं क्यों
सच्चे की हिमायत में यहाँ कौन खड़ा है
झूठे की ही जयकार है मालूम नहीं क्यों
कानून रखे ज़ेब में फिरते हैं यहाँ सब
हर शख़्स ख़तागार है मालूम नहीं क्यों
ढलते नहीं ग़ज़लों में ये अशआर मेरे अब
दमदार न फ़नकार है मालूम नहीं क्यों
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari