saagar utha ke la zara dariya utha ke la
tode jo pattharon ko vo jazba utha ke la
sab chhod naaz nakhre tu jalwa utha ke la
sheerin zubaan waala vo lahja utha ke la
hogi hamaari jeet isee jang mein magar
dushman ko maat de vo piyaada utha ke la
chubhne lagi hain waqt ki ab jhurriyaan hamein
maasoom sa hamaara vo chehra utha ke la
maine kiya tha ishq magar kya mila mujhe
bikhra hai mere dil ka jo tukda utha ke la
kaise kati hain hijr ki raatein pata chale
bheega hai aansuon se jo takiya utha ke la
main bhi ghazal kahoongi agar qaafiya mile
mehfil mein jiska zikr hai misra utha ke la
सागर उठा के ला ज़रा दरिया उठा के ला
तोड़े जो पत्थरों को वो जज़्बा उठा के ला
सब छोड़ नाज़ नख़रे तू जल्वा उठा के ला
शीरीं ज़ुबान वाला वो लहजा उठा के ला
होगी हमारी जीत इसी जंग में मगर
दुश्मन को मात दे वो पियादा उठा के ला
चुभने लगी हैं वक़्त की अब झुर्रियाँ हमें
मासूम सा हमारा वो चेहरा उठा के ला
मैंने किया था इश्क़ मगर क्या मिला मुझे
बिखरा है मेरे दिल का जो टुकड़ा उठा के ला
कैसे कटी हैं हिज्र की रातें पता चले
भीगा है आँसुओं से जो तकिया उठा के ला
मैं भी ग़ज़ल कहूँगी अगर क़ाफ़िया मिले
महफ़िल में जिसका ज़िक्र है मिसरा उठा के ला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Dariya Shayari Shayari